Akhtar Azad
Clearly, the verses are super-long here. Formatting took quite a while!
Koi chaudveen raat kaa chaand ban kar tumhaare tasavvur men
aaya to ho gaa
Kisee se to kee ho gee tum ne muhabbat, kisee ko gale se lagayaa
to ho gaa
Tumhaare khayaalon kee angnaaiyon men meree yaad ke phool
mehakte to hon ge
Kabhi apnee aankhon ke kaajal se tum ne meraa naam likh kar
mitaayaa to ho gaa
Labon se muhabbat kaa jaadoo lagaa kar, bharee bazm men sab se
nazren churaa kar
Nigaahon kee rahon se dil men samaa kar kisee ne tumhen bhi
churaayaa to ho gaa
Kabhi aaine se nigaahen milaa kar jo lee ho gee bharpoor angraaee
tu ne
To ghabraa ke khud teree angraaeeon ne tere husn ko gudgudayaa
to ho gaa
Nigaahon men shama-e-tamanna jalaa kar takee hon gee tum ne bhee
raahen kisee kee
Kisee ne to wa'dah kiyaa ho gaa tum se, kisee ne tumhen bhee
rulaayaa to ho gaa

0 Comments:
Post a Comment
<< Home