Urdu in English

The aim of this blog is to further the cause of Urdu through poetry (though occasionally excerpts of prose might make their way here also).

Friday, April 14, 2006

Charaagh Hasan Hasrat

Yaa rab, gham-e-hijraan men, itnaa to kiyaa hotaa
        Jo haath jigar par hai, woh dast-e-du'aa hotaa

Ik ishq kaa gham aafat, aur us peh yeh dil aafat
        Yaa gham na diyaa hotaa, yaa dil na diyaa hotaa

Naakaam-e-tamanna dil, is soch men rehtaa hai
        Yoon hotaa to kyaa hotaa, yoon hotaa to kyaa hotaa

Umeed to bandh jaatee, taskeen to ho jaatee
        Wa'dah naa wafaa karte, wa'dah to kiyaa hotaa

Ghairon se kahaa tum ne, ghairon se sunaa tum ne
        Kuch hum se kahaa hotaa, kuch hum se sunaa hotaa

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

wah wah!

15:30  

Post a Comment

<< Home